Sunday, September 13, 2009

 
Mere Haat Mein
mere haath mein tera haath ho
saari jannatein mere saath ho - 2
tu jo paas ho phir kya yeh jahaan
tere pyar mein ho jaaun fanaa

mere haath mein tera haath ho
saari jannatein mere saath ho
tu jo paas ho phir kya yeh jahaan
tere pyar mein ho jaaun fanaa

mere haath mein tera haath ho
saari jannatein mere saath ho

tere dil mein meri saanson ko panah mil jaaye
tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaaye

jitne paas hain khushbu saans ke
jitne paas hothon ke sargam
jaise saath hain karwat yaad ke
jaise saath baahon ke sangam

jitne paas paas khwaabon ke nazar
utni paas tu rehna hamsafar
tu jo paas ho phir kya yeh jahaan
tere pyar mein ho jaaun fanaa

mere haath mein tera haath ho
saari jannatein mere saath ho

rone de aaj humko tu aankhen sujaane de
baahon mein le le aur khud ko bheeg jaane de
hain jo seene mein qaid dariya woh choot jaayega
hain itna dard ke tera daaman bheeg jaayega

jitne paas paas dhadkan ke hain raaz
jitne paas boondon ke baadal
jaise saath saath chanda ke hain raat
jitne paas nainon ke kaajal

jitne paas paas saagar ke lehar
utne paas tu rehna humsafar
tu jo paas ho phir kya yeh jahaan
tere pyar mein ho jaaun fanaa

mere haath mein tera haath ho
saari jannatein mere saath ho

adhoori saans thi dhadkan adhoori thi adhoore hum
magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain hum

No comments:

Post a Comment